azab-e-atish-e-hijraa’n ko sahnay lagti ho
pighal pighal kay teri hi simat bahnay lagti ho
na janay ghar kisay kahtay hain aur makaa’n hai kya
kabhi kabhi to mai tujh mai hi rahnay lagti ho
teri gali mai yehi hum kalam hai mujh mai
so gard-e-rah say har ek baat kahnay lagti ho
chala bhi a’a kay tujhay orh kar libas karo
barhna tun pay tera naam pahnay lagti ho
teray khyal ki barsat kay taswur say
mai ek kachi haweli ho dhenay lagti ho
No comments:
Post a Comment