Dasht-e-tanhai maen aye janey jahan larzaan haen
teri awaaz k saye terey honton k sarab
Dasht e tanhai maen doori k khaso khak taley
Khil rahey haen terey pehloo k samaan aur gulab
Dasht-e-tanhai maen …….
Uth rahi hae kaheen qurbat sey teri saans ki aanch
Apni khushboo maen sulagti hui madham madham
Door ufaq par chamakti hui qatra qatra
Gir rahi hae teri dildar nazar ki shabnam
Dasht e tanhai main…..
Is qadar piyar sey aye jan e jahan rakha hae
Dil k rukhsar pe is waqt teri yaad ney haath
yeun guman hota hae gar che abhi hae subh faragh
Dhal gaya hijr ka din aa bhi gai wasal ki raat
Dasht tanhai main…

No comments:
Post a Comment