Monday, 15 September 2014

kaho lautna hai kisay yahan meray daRd suN meray meharban

mujhay yaad koi dua nahin, meray humsafaR abhi soch le
tu meRi jabeen pe likha nahin, marayhumsafaR abhi soch le
abhi rasta bhi hai dhool main, abhi faida bhi hai bhool maiN
abhi mujh ko tujh se gila nahin, meray humsafaR abhi soch le
maiN janm janam se naraz hooN, main janm janam se udaas hooN
maiN kabhi bhi khul k hansa nahin, meray humsafaR abhi soch le
tu hai khawab khawab pukaRta, meRi ankh main nahin ashk bhi
maiN muddatoN se jia nahin, meray humsafaR abhi soch le
tujhay khushbo’ooN ki hai arzoo tujhay roshni ki hai justjo
maiN hawa nahin, main di’ya nahin, meray humsafaR abhi soch le
tujhay anso’oon ka pata nahin, tujhay ratjagon ka guma’N nahin
tujhay is se agay pata nahin, meRay humsafaR abhi soch le
kahiN choo’t sakta hai darmay’aN, na zameen milay gi na asmaa”N
tujhay rastay ka pata nahin, maray humsafaR abhi soch le
mujhay doondta hi phiray ga tu, na jee’ay ga roz maRay ga tu
maiN kabhi b ghar pe mila nahi, meray humsafaR abhi soch le
kaho lautna hai kisay yahan meray daRd suN meray meharban
meRay pass waqat zara nahi, maray humsafaR abhi soch le

No comments:

Post a Comment