Monday, 15 September 2014

Ye dil kuch aur samjha thaa

Woh jazboN ki tijarat thee Ye dil kuch aur samjha thaa
Ussay hansne ki adat thee Ye dil kuch aur samjha thaa
Mujhay uss ne kaha aao nae dunya sajaty haiN
Ussay sooji shararat thee Ye dil kuch aur samjha thaa
Hamaisha usski aankhoN maiN dhanak se rang hoty they
Ye uski aam haalat thee Ye dil kuch aur samjha thaa.
Wo mery pass bethi dair tak ghuzalaiN meri sunti
Ussay khud se muhabbat thi Ye dil kuch aur samja thaa
Mery kaandhy pe sir rakh kar kahiN per gae wo
Ye ik wakti inayat thi Ye dil kuch aur samjha thaa
Mujhay wo dekh kar aksar nighaiN phair leti thee
Ye dar-e-pardah hakarat thi ye dil kuch aur samjha thaa

No comments:

Post a Comment