Friday 5 September 2014

keh shakh-e-mahtaab kat chuki he

Buhat dinooN sey 
woh shakh-e-mehtab kat chuki he 
keh jis pe tum ney garift-e-wada ki raishmi shaal key 
sitarey saja diye they 
buhat dinooN sey 
woh gard-e-ehsaas chhat chuki he 
keh jis key zarrooN pe tum ney 
palkooN ki jhaalrooN key tamaam neelam luta diye haiN 
our ab to yooN he keh jaisey 
lab-basta hijartaooN ka her ik lamha 
taweel sadiyooN ko ourh ker sans ley raha he 
our ab to yooN he keh jaisey tum ney 
pahaarh ratooN ko 
meri andhi urhaaj aankhooN meiN 
raiza raiza basa diya he 
keh jaisey maiN ney 
figar-e-dil ka hunar-asaasa 
kaheeN chhupa key bhula diya he 
our ab to yooN he keh 
apni aankhooN pe hath rakh key 
mery badan pe sajey howey aablooN sey behta lahoo nah dekhey 
(mujey kabhi surhruu nah dekho) 
nah meri yadooN key jaltey bhujtey nishaaN kureedo 
nah mery muqtal ki khaak dekho 
our ab to yooN he keh 
apni aankhooN key khaab 
apney dareeda-daman key chaak dekho 
keh gard-e-ehsaas chhat chuki he 
keh shakh-e-mahtaab kat chuki he

No comments:

Post a Comment