Friday 5 September 2014

magar maiN tanha hooN

Safar meiN hooN our ruka kharha hooN
maiN charooN samt meiN chal raha hooN magar kahaN hooN
waheeN— jahaN surkh roshnaii ka eik qatra
kissi qalam ki kaseef nib sey gir parha he!
MaiN khud bhi shayed kissi qalam sey gira howa eik surkh qarta hooN
zindgi ki jabeeN per chamakti bindiya si ban geya hooN
magar maiN bindiya naheen hooN, shayed keh woh to taqdees ka nishaaN he
dilooN key dhagooN ki ik girah he
girah jo sadiyooN meiN bananey waley rishtooN ki aashram he
jo aaney wali tarrapti sadiyooN ki ibteda he
girah jo junction he patrriyooN ka, musafirooN ka
nayi naveeli rafakatooN ka, muhabbatooN ka, aaziyatooN ka
magar maiN tanha hooN — bekaraaN wussatooN meiN tanha
safaid mazi, safaid farda, safaid yeh lamha-e-ibadat
keh jis meiN koyi naheen ibarat
safaid mathey pe surkh dhabba hooN
ibteda, inteha key dhagooN sey kat chuka hooN
maiN surkh dhabba hooN
kapkapatey lateef aksooN ka silsila hooN
tamaam chehrey jo tery ander sey jhanktey haiN
mery hi chehrey ki jhalkiyaaN haiN
mery hi seeney ki dharhkaneeN haiN
yeh taiz rangooN key tund darya
jo dukh key koh-e-garaaN sey ris kar
zameeN ki banjar, udaas saltanat ko chhuu kar is eik be-ant surkh nuqtey key behr-e-zulmaat meiN girey haiN
mery hi benaam dast-o-paa haiN!
yeh jugmagati si kehkashaaeeN jo ibteda sey
khuda ki qudrat meiN qaid, bahir ko urh rahi haiN
girheN bani haiN
waheeN kharhi haiN
waheeN, jahan surkh roshnaii ka eik qatra
kissi qalam ki kaseef nib sey gir parha he
woh eik qatra jo mera dil he
jo mery aksooN ka silsila he
jo mery honey sey surhruu he
jo meri paabasta aarzoo he!

No comments:

Post a Comment