Thursday, 11 September 2014

Kisi haath nay kisi looh pay jo nahi likha

Kisi haath nay kisi looh pay jo nahi likha
Wohi aik hurf-e-guman hain hum


Khat-e-gumshuda main likhi gaiee
Koi ajnabi si zuban hain hum


Kisi aur khita-e-dard par jo guzar gaya
Usi waqt ki tag-o-taaz ka 


Koi be nishan sa nishan hain hum 
Kabhi apnay wahimay say nikal k dunia ko deakhiea


Tu na khul sakay k kahan hain hum
Meri jaan humari ya dastaan


Isi aasmaan ki chat talay
Isi kahkashaan k darmiyan


Kaiee baar likhi gaiee kaiee bar suni gaiee
Ya hadees nagm-e-bay sada


Kabhi surkh phoolon ki taiz khushboon main ruk gaiee
Kabhi aansoon main rawan hwee


Ya woh shame-e-sham-e-wisal ha
Jo tamaam raat jali kabhi 


Kabhi aik pal main dhuwan hwee
Kabhi roshni ka yakeen bani


Kabhi tarige ki gumaan hwee
Tu jo hogaya usay maan lay


K wo daag wo hain jo saath behroon 
K panioon say na dhul sakain gain


Hwa k rastay main urnay walay udas lamhay
Na ruk sakay hain na ruk sakain gain


Tu jo hogaya usay maan lay

No comments:

Post a Comment