Monday, 15 September 2014

koi khaak karta hai koi khaak hota hai

karwan sarai main, kis ka ye parrao hai
shauq ka safar shayed, raas aa nahin paya 
lut gaya hai rastay main,aarzoo ka sarmaya 
door manzil-e-umeed, rasta bhi hai be saya
ik thakan ke b ye bhi, karwan main shamil hai 
ik chubhan ke rastay main, khar bun ke haail hai 
rooh bhi shakista hai, uzaw uzaw ghayal hai
karwan saraye main , kis ka ye parrao hai
hum ne ab sepehlay bhi, aisay karwan daikhay 
be murad manzil thay, na murad sahil thay
gard gard jismon pe, khuwab khuwab chehray thay
shauq ka safa kaya tha, dairay main phairay thay 
ishq ki musafat main, bus yahi to hota hai
“koi khaak karta hai, koi khaak hota hai”

No comments:

Post a Comment