Monday 8 September 2014

main tujhe bhool gaye

main tujhe bhool gayee, ye bhi nahin hai, lekin 
main tujhe yaad bhi har waqt nahin kar sakti 
zindagi kitni hamah-geer hai, kitni purshor 
sirf ashkon hi se daaman to nahin bhar sakti
kaisay fitrat ke taqaazon se kinara kar loon 
kis tarah talkhi-e-zehraab gawaara kar loon 
zindagi kitni hamah-geer hai, kitni purshor
main mohabbat ke taqazay bhi samajhtin hoon magar 
main haqiqat ke ishaare bhi to pehchaantin hoon 
main teri yaad mein khud apne se ghaafil ho jaaon 
masiwa apne kisi aur ko bhi janti hoon
zindagi sirf tarana hi tarana to nahin 
kuchh haqiqat bhi hai ye mahaz fasana to nahin 
main haqiqat ke ishaare bhi to pahchaanti hoon
sher-o-naghma mein guzarti hui rangin raaten 
kaun hoga jinhen naghmaat ka ehsas nahin 
talkhi-e-ghum bhi to ik thos haqiqat hai magar 
kaun hai jisko haqiqat ka zara paas nahin
yeh dharaktay huay dil aur yeh khanaktay hue saaz 
yeh mahaktay huay naghmaat, yeh bajti aawaz 
kaun hoga jisay naghmaat ka ehsaas nahin
zindagi kitni hama-geer hai, kitni purshor 
aur iss shor mein naghmon ki haqiqat kitni 
main tujhe yaad kiye jaaoon yeh mumkin hai magar 
iss humah-geeri mein ik yaad ki fursat kitni
kitnay dil-chasp hain, ulfat kay taraanay lekin 
kitnay rangeen hai ye saada-se fasaanay lekin
iss hamah-geeri mein in sab ki haqiqat kitni?

No comments:

Post a Comment