Wednesday, 3 September 2014

Mata-e-jaan hai tu

Rahat e dil Maat e jaan hay tu
Aye gham e dost jawedaan hay tu

Aansoun par bhi tera saya hay
Dhoop k sar pe saibaan hay tu

Dil teri dastaras main kyoun na rahay
Is zameen par to aasmaan hay tu

Shaam e sheher udaas k wali!
Aye mere meherbaan kaha hay tu?

Saya e abr e raigaan hoon main
Mouj e beher e bekaraan hay tu

Main tahe dast wa gard perahan
Laal o almas ki dukaan hay tu

Lamha bhar mil k roothnay walay
Zindagi bhar ki dastaan hay tu

Kufr o emaan k fasloun ki qasam
Aye Maat e yaqeen gumaan hay tu

Tera iqraar hay nafi meri
Mere asbaat ka jahaan hay tu

Jo muqaddar sanwaar detay hain!
Un sitaroun ki kehkashan hay tu

Be nishaan be nishaan khayaam mere
Karvaan karvaan rawaan hay tu

Jaltay rehna chiraagh aakhr e shab
Apne mohsin ka raazdaan hay tu….!!!!

No comments:

Post a Comment