Friday 5 September 2014

merey Ehsaas ko pathar bana daalo

Hawaa-e-Shehr-e-JanaaN
kuch kaho na kiya kahaa uss ney?
ussey tumney meri aankhoN ki weerani bataai tou?
wuh kyaa bolaa…….?
ussey tumney kaha hogaa k meri har Duaa ki
ibtidaa aur intehaa wuh hey
ussey ye bhii bataana thaa………..
k usski ik khushii ka moul meri Zindagi Thehrey
tou sodaa phir bhi sastaa hey
ussey merey muqadar k
sabhi roshan sitaarey sounp kar kahtii
sitaaroN ka Thihkaana tou azal sey aasmaaN hey
aur merey aasmaaN tum ho
ussey wuh saarey mousam
jinkey lehjey Rung aur khushboo sey bheegey heiN
thamaa kar itna kahna thaa
khizaaN maiN khud pe jhailooN gii
hawaa meri saheli ………
kuch tou bolo k wuh kaisa hey?
kaho na kya kahaa ussney?
koi paiGhaam tou hogaa?
jo merey naam bhejaa ho
hawaa………..ye kyaa??
tumhaari aankh meiN aansoo
tumhaarey honT neeley paR rahey heiN kyuN?
tumhaarey jism meiN larzish
chhaTakhtey aainoN si khudkalaami meiN
ye mujhsey kyaa kahaa tumney?
k tum iss shahr-e-sanG ki
oonchii faSeeloN sey
buhat hi deir tak Takraa k thak kar louT aai ho
k shahr-e-dilbaraaN k
har dareechey, dar, Galii koochhey pe pehrey heiN
tumheiN merey payaamoN ka jawaab iss koo’ey jaanaaN sey
FaQat ik sard aur be-ant Khamoshii ki Surat meiN mila hey
Hawaa-e-shahr-e-jaanaaN……
na-samajh ho tum…..tumheiN shaaid pataa bilkul nahi hey
k khaamoshii………..
samandar ki tarha gehrey taa’aluQ ki bazaat-e-khud gawaahi hey
chalo aao….. merey kaandhey sey lag kar ghum bahaa daalo
merey seeeney meiN Thandii aah ban kat iss tarhaa utroo
merey Ehsaas ko pathar bana daalo…….

No comments:

Post a Comment