Saturday, 13 September 2014

mujhse milne ke woh karta tha bahaane kitne

mujhse milne ke woh karta tha bahaane kitne
ab guzaarega mere saath zamaane kitne
main gira tha to baahot log ruke the lekin
sochta hoon mujhe aaye the uthaane kitne
jis tarah maine tujhe apna bana rakha hai
sochte honge yahi baat na jaane kitne
tum naya zakhm lagao tumhe isse kya hai
bharne waale hain abhi zakhm puraane kitne

No comments:

Post a Comment