Wednesday 3 September 2014

na aamad ki aahat aur na janay ki toh milti hai

na aamad ki aahat aur na janay ki toh milti hai 
kab aate ho …. kab jaate ho …. 
Imli ka yeh pairr hawa main jab hilta hai tau,
eenton ki deewar par parchhai ka cheenta padhta hai
aur jazb ho jaata hai jaise..
sookhi matti par koi paani ke qatra phaink gaya ho..
dheere dheere aangan main phir dhoop sisakti rehti hai..
kab aate ho.. kab jaate ho..
band kamray main kabhi kabhi 
jab diye ki lau hil jati hai tau
aik bada sa saya mujhko ghont ghont peenay lagta hai
ankhain mujh se door baith ke mujhko dekhti rehti hain 
kab aate ho.. kab jaate ho..
din main kitni baar mujhay tum yaad aate ho

No comments:

Post a Comment