tanaao mein jab aa jaaien to dhagay toot jatay hain
zara sii baat par dareena rishtay toot jatay hain
tumhien is baat par hairat k toota hai humara dil
muqabil jab-k hon pathar to sheeshay toot jatay hain
guzartay waqt say cheezien puranii ho hii jatii hain
dilon mein mail partii hai to jazbay toot jatay hain
hazaron khwaahishien tarteeb pati hain khyaalon mein
magar jab aankh khultii hai to sapnay toot jatay hain
umad aatay hain churiyon mein hazaron dukh zamanay kay
guzar kar umr kay hiisay say chehray toot jatay hain
na-janay kyon tumhari yaad aatii hai mujhay us dam
meray aangan mein jab bailon kay patay toot jatay hain
dukhon mein to nikal aatay hain aankhon say “zaheer” aansoo
khushi kay mousamon mein bhi kinaaray toot jatay hain
No comments:
Post a Comment