Saturday, 20 September 2014

Abb Ke Socha Hai Ke Ye Khud Ko Saza Di Jaye

Abb Ke Socha Hai Ke Ye Khud Ko Saza Di Jaye
Tujh Se Wabasta Her Ek Baat Bhula Di Jaye

Abb Talak Jee Lia Itna Bhi Ghaneemat Hai Buhat
Mujh Ko Jeenay Ki Na Abb Aur Dua Di Jaye

Jis Kay Aanchal Se Thee Lipti Hui Taqdeer Meri
Meri Khoi Hui Gurya Wo Dila Di Jaye

Dil Ke Jalnay Se Charaghaa’n Hai Bari Duur Talak
Sheher Main Jalti Her Ek Sham’ma Bujha Di Jaye

Nafratain Dil Main, Nigahon Main Kudurat Itni
Kion Na Aangan Main Bhi Deewar Utha Di Jaye

Duur Tak, Duur Talak Apne Siwa Koi Nahi
Aisi Basti Main Bhala Kis Ko Sadaa Di Jaye

Sirf Itni Si Guzarish Hai Meri Ke Maula
Meri Nao Bhi Kaheen Paar Laga Di Jaye

Sheher Ke Sheher Ne Bhjay Hain Mujhe Phool Magar
Uss Ne Socha Hai Ke Tohfay Main Qazaa Di Jaye

Main Yaqeenann Hoon Isi Waastay Khaali Daaman
Meri Khuahish Thi, Mujhe Sirf Wafaa Di Jaye

Naam Jis Pe Hai Meri Umrr Ka Likha ‘Mehroo’
Waqt Ke Haath Se Wo Rait Uraa Di Jaye

No comments:

Post a Comment