Saturday, 20 September 2014

Udas Shaam Ki Aik Nazam

Wisaal rut ki yay pehli dastak hi sarznish hai
Keh hijr kay mousam nay ristay ristay safer ka aaghaz kia
Tumharay hathooN ka lams
Jab bhi meri wafa ki hatheliyooN per hinaa banay ga


To sooch loon gi
RafaqatooN ka sunehra sooraj ghuroob kay imtehan main hai
Hamaray baghooN say gar kabhi titliyooN ki khushboo
Guzar na pa’ay to yay kehna


Keh titliyooN nay gulab rastay badal liyay haiN
Ager koi shaam youn bhi a’ay
Keh jis main hum tumhaiN lagaiN para’ay
To jaan lena


Keh shaam baybas thi shab ki tareekiyooN k hathooN
Tumhari khwahish ki muthiyaaN
Bay dhiyaniyooN main kabhi khulaiN to yaqeen kerna
Keh meri chah kay jugno’oN nay


Tumharay hath kay lams-e-tazah ki khwahishooN main
Baray ghanay andhairay katay
Mager yay khadshay yay waswasay to takalfan haiN
Jo bay irada safer per niklaiN


To yay to hota hai, yay to ho ga
Hum apnay jazbooN ko
Munjmid raiganiyooN kay supurd ker kay yay sooch laiN gay
Keh hijr mousam to wasal ki pehli shaam say hi


safer ka aaghaz ker chuka hai

No comments:

Post a Comment