Friday 5 September 2014

Teray bicharnay ki rut abhi tak nigaah mai hai khyaal mai hai

Teray bicharnay ki rut abhi tak nigaah mai hai khyaal mai hai
abhi musaafir teri talab ka musafatoo’n kay wabaal mai hai
jawab daita rahoo’n kaha tak mai zindagi ki haqeeqatoo’n ko
qadam qadam talkhio ka pehloo to us kay har eik sawaal mai hai
mai apnay ghar say nikal para ho mohabatoo’n kay charagh lay kar
agarcha har ek hawa ka jhonka bhi apni fitrat kay jaal mai hai
hamaray husn-e-talab nay tujh ko bana dia hai nazar ka markaz
qamar ki darasal wajah-e-shoharat to chandani kay kamal mai hai
meray shanasa janam janam kay mujhay milay ajnabi samjh kar
mai khairti hon kay farq Asim ajeeb mazi-o-haal mai hai

No comments:

Post a Comment