Thursday, 11 September 2014

tere utare huay din

tere utare huay din 
tangay hain lawn main ab tak
na wo puranay howay hain 
na un ka rang utra 


kahin se koi bhi sewan abhi nahin udhrri
ilaaichi ke buhat pass rakhay pather per 
zara si jaldi sarak aaya karti chaon 
zara sa aur ghana ho gaya hai wo pauda 


main thora thora wo gamla hatata rehta hoon 
faqeera ab bhi wohin meri coffee daita hai 
galehrion ko la kar khilata rehta hoon biscuit
galehrian mujhay shak ki nazar se daikhti hian 


wo tere hathon ka mask jantin hon gi 
kabhi kabhi jab utarti hai cheel sham ki chat se 
thaki thaki si zara dair lawn main ruk kar 
safaid aur gulabi musunde ke paudon main ghulne lagti hai 


ke jaisay barf ka tukra pighalta jaye whisky main 
main scarf din ka galay se utar daita 
tere utare huway din pehan ke ab bhi main 
teri mehak main kai din kaat daita hoon 


tere utare huay din 
tangay hain lawn main ab tak
na wo puranay howay hain 
na un ka rang utra 
kahin se koi bhi sewan abhi nahin udhrri

No comments:

Post a Comment