Udaasiyon ka jo jal-tarang meri khalwaton mein bajaa karay
yahi ban key muskaan-e- jaan- fiza meri mehfilon mein saja karay

muhabaton ka Hasool hijr, wasl bhii hay Qabool-e-hijr
aur jis ka hijr Qabool ho, phir woh hijr ka kyun gila karay

yeh naseeb-e-shab ki nami jo hay yeh khabar hey har us ashq ki
yaad mein teri chaahto’n kay jo sab say chup kay bahaa karay

meray ghum keh meraa naseeb thay, mujhay be-qaraar na kar sakay
teri Aankh ki yeh namii magar, merey har sakuun ko fanaa karay

yeh muhabatton key naseeb ki yeh hikayaetaiN bhi ajeeb hain
ke meray hii ishq kaa silsila, meray har gumaan say baRha karay

meri aankh mein teraa aks hay, merey zehn mein tera naqsh hay
meray Khudaa mujhey zarf day, keh yeh aks mujhsey nibah karay

No comments:
Post a Comment