Sunday, 7 September 2014

Woh bhi kaya loog thay

Woh bhi kaya loog thay aasaan thin raahain jin ki
Band aankahin kiye ik simt chalay jaatay thay
Aql-o-dil khawab-o-haqeeqat ki na uljhan na khalish
Mukhtalif jalway nigahoon ko behlatay thay
Ishq saada bhi tha bekhud bhi janoon paisha bhi
Husn ko apni aadaoon pay hijaab aata tha
Phool khiltay thay tou phoolon main nasha hota tha
Raat dhalti thi tou sheeshon pay shabab aata tha
Chandni kaif-e-asar rooh afza hoti thi
Abr aata tha tou badmast bhi ho jatay thay
Din main shorish bhi hua karti thi hangamay bhi
Raat ki goad main moun dhaanp k soo jatay thay
Nurm-ro waqt k dharay pay safeenay thay rawan
Saahil-o-bahar k aaieen na badaltay thay kabhi
Na khudaoon pay bharoosa tha na muqadra pay yakeen
Chaadar-e-aab say toufaan na ubaltay thay kabhi
Hum ko toofan k palaay bhi sataye bhi hain
Barq-o-baraan main woh he shamain jalain kaisay
Ye tou aatish-kaha dunia main bharak utha hai
Aansoon say usay har baar bhujain kaisay
Kar dia barq-o-bakharat nay mahsar barpa
Apnay daftaar main litafat k siwa kuch bhi nahi
Ghir gaye waqt ki be-reham kasha-kash main magar
Pass tehzeeb ki dholat k siwa kuch bhi nahi
Ye andhara ye takatum ye hawaoon ka kharosh
Is main taroon ki subak narm ziyaan kia kartii
Talkhi-e-Zeest say karwa hia Aashiqh ka mizaaj
Nigaah-e-yaar ki masoom aada kia karti
Safar aasan tha manzil bhi bari roshan thiii
Aaj kis darja pur-aasraar hain raahain apni
Kitni parchaiyan aati hain tajal’li ban kar
Kitnay jalwoon say ulajhtii hain nigahain apnii…………….!!

No comments:

Post a Comment