Monday 13 October 2014

Aey musavir teri tasveer ko maiN kya samjhooN

AasmaaN samjhooN ya behtaa huaa darya samjhooN
Aey musavvir teri tasveer ko maiN kya samjhooN
Jaisay baandha hai hawaaoN pe koi pul toonay
Ya utaara hai zameeN par koi baadal toonay
Ya kisi naaz ka lehraya hai aaNchal toonay
Tujhay naadaan ya daAna ya phir aashiq samjhooN
Aey musavvir teri tasveer ko maiN kya samjhooN
Kabhi lagtee hai falak-bosa imaarat jaisee
To kabhi doobti kashti ki hai mayyat jaisee
Kabhi maKHfoof lagay hai kabhi jannat jaisee
BaDi Dilkash hai magar maiN isay samjhooN ya na samjhooN
Aey musavvir teri tasveer ko maiN kya samjhooN

No comments:

Post a Comment