Saturday 11 October 2014

Ajanabi Khauf fizaaon mein basaa ho jaisey

Ajanabi Khauf fizaaon mein basaa ho jaisey
Shehr kaa shehr hii aaseb_zadaa ho jaisey
Raat ke pichley pehar aatii hain aawaazein si
Duur saharaa mein koi cheeKh rahaa ho jaisey
Dar-o-deewaar pe chhaai hai udaasii aisi
Aaj har ghar se janaza-saa utha ho jaisey
Muskurata huN pa-e-Khaatir-e-ahabaab magar
Dukh to chehre ki lakiiron pe saja ho jaisey
Ab agar Doob gayaa bhi to maruuN gaa na ‘Kamaal’
Behtay paani pe meraa naam likhaa ho jaise

No comments:

Post a Comment