sakooN-e-jaaN ke lee’ye ab maiN duaa kaise kaRooN
dard jab tu ne dee’ya hai to gilaa kaise karooN

aksaR lauTaa huun manzil se yahi soch k maiN
ab muqammal ye safar teRe binaa kaise kaRooN

meRe she’roN meiN ye asaR kahaaN tha pehle
karz maiN teri jafaaon ka adaa kaise karooN

zindagi bhaR ki wafaaoN ka silaa hai yaaro
dil-e-barbaad k zaKhmoN ki davaa kaise kaRooN

thi koi mere hi haaThon ki lakeeRoN meiN kamii
apni taqdeeR ka ab tuj se gilaa kaise karooN

meRi nas-nas meiN basaa hai jo lahuu baN k Dost
uski yaadoN se kinaaRa maiN bhalaa kaise kaRooN

ab munaasib hai yahi usko bhulaa duuN maiN
haaN magaR phuul ko khushbuu se judaa kaise kaRooN

No comments:
Post a Comment