Tuesday 14 October 2014

Chalo Hum Farz Kartay Hain

Chalo Hum Farz Kartay Hain Vohi Baatein
Jo Dunya Mein Nahi Hoti Chalo Hum Farz Kartay Hain
k Har Soo Noor Phaila Hay Na Din Mein Chaya Sannata
Na Raaton Mein Andhera Hay Na Sooraj Shab Mein Sota Hay
Na Din Mein Chand Khota Hay
Hay Har Dil Roshnee Se PurNoor
Aur Aankhon Mein Ujalay Hain
Chalo Hum Farz Kartay Hain k Har Mousam Baharaan Hay
Khizan Mein Phool Khiltay Hain
Nigahein Rangon Se Nahati Hain
Guloon Ki Khushboo Se
Sab Nazaary Muattar Hain
Parinday ChehChaty Hain
Khushi k Geet Gatay Hain
Chalo Hum Farz Kartay Hain k Har Dil Mein Muhabbat Hay
Kahin Jaghrray Nahi Hotay Na Barish Dukh Ki Hoti Hay
Na Aandhi Gham Ki Chalti Hay Na Nafrat Phaans Banti Hay
Hain Sabhi Chehroon Pe Muskanein
Kahin Jaghrray Nahi Hotay
Chalo Hum Farz Kartay Hain
k Gham Khushion Se Behtar Hain
Chalo Hum Farz Kartay Hain
Yeh Dunya Tum Se Behtar Hay Zara Thehro…… ..
Magar Hum Farz Kiun Kar Lein
Yakeen Mujh Ko Batata Hay Haqeeqat To Haqeeqat Hay
Main Sab Kuch Jaan Sakta Hoon
Na Sooraj Shab Mein Chamkay Ga
Na Din Mein Chand Niklay Ga
Khizaa Mein Gul Nahi Khiltay
Yeh Nafrat Mar Nahi Sakti
Na Gham Khushion Se Behtar Hain
Na Dunya Tum Se Behtar Hay
Hay Dunya Ki Haqeeqat Kya Faqat Ik Tum Hi Achay Ho
Jahanoo Se Zamanoo Se Makanoo La Makanoo Se
Yeh Sab Kuch Hay Vohi Jo Iss Dunya Mein Hota Hay
To Phir Hum Farz Kiun Kar Lein
k Dunya Tum Se Behtar Hay
Nahi….. Faqat Ik Tum Hi Achay Ho!!!!!!!!

No comments:

Post a Comment