Tuesday 14 October 2014

Udasi tark ker do abb

Udasi tark ker do abb Yunhi bekar mat baitho
Kisi ke hijr mai Jana! Na khud ko itna tarpao
Udasi aik shola hai Gharon ko jo jalata hai
Yeh dil bhi ik gharonda hai Jo jal jaye…
To kuch baqi nahi rehta Meri mano
Woh sarey khat Jo uss ne tum ko likhey thay
Jala dalo Tumhein jis ne bhula dala
Usey tum bhi bhula dalo Udasi Tark ker do abb

No comments:

Post a Comment