Tuesday 14 October 2014

Meri tasweer mein rung aur kisi ka to nahin

Meri tasweer mein rung aur kisi ka to nahin
gher lein mujh ko sub aake mein tamasha to nahin
zindagi tujh say har eik saans pey samajhauta karun
shauq jiney ka hai mujh koh magar itna to nahin
rooh ko dard mila dard koh aankhein na mili
tujh koh mahsus kiya hai tujhe dekha to nahin
sochtey sochtey dil dubaney lagta hai mera
zehan kee teh mein Muzaffar koi dariya to nahin

No comments:

Post a Comment