Monday 13 October 2014

chorion ki khan khan abb der tak rulay gi

khushboaon ki rango ki ik bahar ho jesay
aarzoo k chehray pe ik nikhar ho jesay
lafz ki haqeeqat b zer nigaar ho jesay
jagmagatay taroon ki ik qitaar ho jesay
jagmagatay taroon pe rooshni ka haala ho
phool k goloo mai ik jugnuon ki maala ho
raat k andheray ko chand ne sanbhala ho
sonay jesay peker ko chandni mai dhala ho
khankhanti choori jab der tak jagati hay
raat apni palko pe aarzoo jamati hay
aarzoo pe ik perda chandni girati hay
chandni ki aot mai wo phir mujay bulati hay
chorion ka rang us k tan badan mai bherta hay
reshmi libada b khud bakhud uterta hay
us badan ka her tara kaam aisa kerta hay
chohdween ka chand us ko dekhtay hi merta hay
chorion ki khan khan ho , shakh jesi bahain hon
germ germ sansain hon , siskian hon aahain hon
chandi si manzil ho , raat jesi rahain hon
piyar k badan pe bas piyar ki nigahain hon
chorion ki khan khan abb der tak jagai gi
yaad k dereechon se jo hawa b aai gi
raat k andheray mai der tak satay gi
chorion ki khan khan abb der tak rulay gi

No comments:

Post a Comment