Monday 13 October 2014

tujhe izhaar-e-muhabbat se agar nafrat hai

tujhe izhaar-e-muhabbat se agar nafrat hai
tuu ne honToN ko larazne se to rokaa hotaa
be-niyaazii se, magar kaaNptii aavaaz ke saath
tuu ne ghabraa ke miraa naam na puuchaa hotaa
tere bas meN thii agar mash’al-e-jazbaat kii lau
tere ruKhsaar meN gulzaar na bhaRkaa hotaa
yuN to mujh se huii sirf aab-o-havaa ki baateN
apne TooTe hue fiqroN ko to parkhaa hotaa
yuuNhii be-waj’h ThiThakney ki zaruurat kyaa thii
dam-e-ruKhsat maiN agar yaad na aayaa hotaa
teraa ghammaz banaa khud tiraa andaaz-e-khiraam
dil na sambhlaa, to qadmoN ko sambhaala hota
apne badle miree tasviir nazar aa jaati
tuu ne us vaqt agar aaiinaa dekhaa hotaa
hoaslaa tujh ko na thaa mujh se judaa hone kaa
varnaa kaajal tiree aaNkhoN meN na phailaa hotaa

No comments:

Post a Comment