Haath uThe haiN magar lab pay duaa koi naheeN
Kee ibaadat bhi woh jis kee jazaa koi naheeN
Yeh bhi waqt aanaa thaa ab to gosh har aawaaz hai
Aur meray barbaad dil maiN sadaa koi naheeN
Aa keh ab tasleem kar laiN tu naheeN to maiN sahee
Kaun maanega ke ham maiN bewafa koi naheeN
Waqt nay woh Khaak uRaai hai keh dil kay dasht say
Qaaflay guzaray haiN phir bhi naqsh-e-paa koi naheeN
Khud ko yuN mahasoor kar baiThaa hooN apni zaat maiN
ManzilaiN chaaroN taraf hai raasta koi naheeN
Kaisay raastoN say chalay aur kis jagah pahuNchay ‘Faraz’
Ya hujoom-e-dostaaN tha saath ya koi naheeN
No comments:
Post a Comment