Tuesday 14 October 2014

Tum ajab ho meri chaaHat ke nasebooN ki tarha

Tum ajab ho meri chaaHat ke nasebooN ki tarha 
Munsalik ghaM ke tasalsuL ki gungari se 
Bekaraari ki agar koi shakaL hoti to woh tuM hote 
ya ke bus maiN hota 
Tum ajab ho meri ankhon ki tarha 
Apni weraNi se baahir ki ba’yabaNi ko takti huee
Aur bheegi huee
Jane kis khadshe maiN gum, soch maiN khoyee huee 
Kuch socH kar ghbrayee huee 
Tum ajab ho  Mere shehroN ki tarha 
Raat ke jage huay Dhuup maiN kumla’ye huay 
Hijar ki rahguzarooN ki tarha Bal main bal khaye huway 
Duur tak chhaee huee zard ghta’oN ki tarha 
Tum ajab ho mere khuwabooN ki tarha 
Umr se ujre huay bikhre huay,tarse huay 
Tum ajab ho mere nainoN ki tarha 
Barse huay, barse huay

No comments:

Post a Comment