Tuesday 14 October 2014

Jo dil main hay aankhon k hawalay nahin karna

Jo dil main hay aankhon k hawalay nahin karna
Khud ko kabhi khoa’abon k hawalay nahin karna
Is umar main khush fehmian acchi nahin hotin
Is umar ko waadon k hawalay nahin karna
Ab apnay thikanay per rehta hi nahin koye
Paigham parindon k hawalay nahin karna
Dunya bhi to pataal say bahar ka safar hay
Manzil kabhi raston k hawalay nahin karna
Ab jo musafat hamen dar pesh hay us main
Kuch bhi to sarabon k hawalay nahin karna
Is maarka-e-ishq main jo haal ho mera
Lekin mujhe logon k hawalay nahin karna

No comments:

Post a Comment