Thursday 9 October 2014

Khwab sath rahne k nit naiye dikhata hai

Khwab sath rahne k nit naiye dikhata hai
ye jo asal mausam hai, ye guzarta jata hai
khud ko sabz hi rakha ansoon ki barish main
warna hijr ka mausam kis ko raas aata hai
tu hawaoon ka mausam tujh ko kia khabar janan
gard-e-badgumani se dil bhi toot jata hai
aik tum hi thye warna admi mohabat main
lakh aiyen dewaren rastee banata hai
hum tu khair nadan theye, muntazir rahe warna
kaun apni benaiye is tarah ganwata hai
kitne khwab ankhoon main zakhm bann’ne lagte hain
jab hawa ke hontoon pe tera naam aata hai
senkroon dukanen hain wasal ke chiragon ki
kaun hijr main apna ab lahooo jalata hai

No comments:

Post a Comment