Thursday 9 October 2014

teri gali se jab hum rakht-e-safar karain ge

teri gali se jab hum rakht-e-safar karain ge
har har qadam ke ooper pathar jigar karain ge
azarda khatiroon se kaya faida sukhan ka
tum harf sar karo ge hum girya sar karain ge
sar jaye ga w laikin ankhain udhar hi hon gi
kaya teri taigh se hum qata’ nazar karain ge

No comments:

Post a Comment