Tuesday 14 October 2014

Meray hum-nawa teri bey-rukhi dil-e-mubtala ki shikast hay

Meray hum-nawa teri bey-rukhi dil-e-mubtala ki shikast hay
isey kis tarah main kahoon fatah yeh meri ana ki shikast hay
tu chala gaya mujhay chohr kar main nay phir bhi tujh ko sadayain deen
meray humsafar tu ruka nahin yeh meri sada ki shikast hay
tujhay laa kay dil main bitha dia, tujhey raaz har ik bata dia
tu nay phir bhi koi wafa naa ki yeh meri wafa ki shikast hay
main chaaragh-e-kuhna mizaaj tha, tujhey bijliyoun ki talab rahi
mujhay aandhiyoun nay bujha dia yeh meri ziaa ki shikast hay
mujhay is tarah naa sata-o-gay , mujhey zoam tha kay naa jao gay
mera ghalat wehm-o-gumaan hee meri intehaa ki shikast hay
mujhay koi tujh say gilaa nahin, tu mila tha kub? kay bichar gaya
meray jurm ki hay yehi saza yeh meri wafa ki shikast hay
meri khamoshi kay bayaan ko, tu samajh kay bhi naa samajh saka
meray aansooun ka payaam hee dil-e-baynawa ki shikast hay
gham-e-daastaan-e-hayaat kay sub hee tazkirey huay rayegaa’n
meray chaaragar tera yeh hunar, meri hur ada ki shikast hay
mujhay razmagah-e-hayaat main yoon kabhi naa koi giraa saka
teri khamoshi ki pukaar hee meri ibtidaa ki shikast hay
meri jaan tasadduq khamosh reh, bhala zour kis ka hawayoun par
k jahan bhi rukh yeh badal gayeen waheen naakhudaa ki shikast hay!!

No comments:

Post a Comment