Tuesday 14 October 2014

kuch zakhmii khwaab thay kantoN per

hum khwaabo`N k beyoparii thay
per is mien howa nuQsan bohat
kuch bakht mien dhairo`N kalak thee,

kuch ab k ghazab ka kaal para

hum raakh liye jhoolii mien aur sarr pe saho-kar khara
jab dhartii sehra sehra thee, hum darya darya roye thayy
jab haath kii rehkhaiN chup theeN

aur suR sangeet mein khoye thayy

tub hum ne jeevan khetii mien

kuch khwaab anokhay boye thayy
kuch khwaab sajal muskano`N k
kuch bol bohat deewano k


kuch lafz jinhe maani na milay
kuch geet shikasta jaaNo k
phir apnii ghayal ankho`N se khush ho k laho chirhkaya tha
mayee mien maas khaad bharrii aur nus nus ko zakhmaya tha


aur bhool gaye pichlee rutt mein kia khoya tha kia payaa tha
har baar gagan ne wehm dya ab k barkha jab aye gii
phir beejh se konpal phootay gii aur har konpal phal laye gii
sar pe chaya chathrii ho gii aur dhoop ghatta bun jaye gii


jab fasal katti tu kia dekha kuch durd k tootay gajray thayy
kuch zakhmii khwaab thay kanto`N per,

kuch khaakster se gajray thayy
ab paoN kharao`N dhool bharri aur jism pe joog ka chola haii


sub sangii saathii bhaid bharrayy, koii masha hai koii tola haii
ab ghaat na ghar, dehleez na darr ab pas raha hai kia baba
bus tun ki ghatrii baQii haii ja ye bhee tu le ja baba
hum bastii choray jate hien tu apna Qarz chuka baba ..

No comments:

Post a Comment