Tuesday 14 October 2014

jo meRay qalam se likha gaya usay keoN kisi ne parha nahi

maiN samandrooN ka mizaj hooN abhi is nadi ko pata nahi
sabhi nadya’N muj se mili magar maiN kisi se ja mila nahi
meray dil ki simet na dekh tu kisi aur ka ye muqaam hai
yahaN us ki yadaiN muqeem haiN ye kisi ko maiN ne dya nahi
mujhay dekh k na jhuka nazar na kawaar dil k tu band kar
teray ghar maiN aa’oN gha kis tarha k maiN admi hooN hawaa nahi
meray dil ko khushboo se bhar gaya wo kareeb se yuuN guzar gaya
wo meri nazar maiN tu phool hai usay kia laga maiN pata nahi
ya muqadrooN ki likhawatiaN jo chamak gayeN wo parhi gayeN
jo meRay qalam se likha gaya usay keoN kisi ne parha nahi
ya badar ab be sawal hai k ye berukhi hai ya payar hai
kabhi paas us k gaya nahi kabhi door us se raha nahi

No comments:

Post a Comment