Tuesday 14 October 2014

Raaston ki marzi hai

Raaston ki marzi hai. Be zameen logon ko …
bayqarar aankhon ko bad naseeb qadmon ko
jis taraf bhi lay jayain Raaston ki marzi hai
be nishaan jazeeron per bud guman shahron main…
bay zuban musaafir ko jis taraf bhi Bhatka dain …
Raaston ki marzi hai
rok lain ya Barhnay dain tham lain ya girnay dain ..
wasl ki lakeeron ko tor dain ya milnay dain
Raston ki marzi hai
Ajnabi koi la ker hamsafar bana dalain
saath chalne walon ki rakh bhi ura dalain
ya musafatain sari khak mein mila dalain..
Raston ki marzi hai.

No comments:

Post a Comment