Tuesday 14 October 2014

usay Apnay Farda Ki Fiqar Thi

usay Apnay Farda Ki Fiqar Thii
Woh Jo Mera Waqif-e-Haal Tha
Wohi Uss Ki Subha Arooj Thii
Wohi Mera Waqt-e-Zawaal Tha
Kahan Jao Gay Mujhay Chorr Kr
Mein Yeh Pooch Pooch Kr Thuk Gaya
Woh Jawab Na Mujh Ko Dey Saka
Woh Tou Khud Sarapa-e-Sawal Tha
Meri Baat Kaisy Wo Janta
Meri Baat Kaisy Wo Manta
Wo To Khud Fana Ky Safar Main Tha
Usy Rokna Bhi Mohal Tha
Dum Wapsi Aray Yeh Kya Hua
Na Woh Roshni Na Woh Taazghi
Woh Sitara Kaisay Bikhar Gaya
Jo Aap apni Misaal Tha
Woh Mila Tou Sadiyoun k Baad Bhi
Meray Lub Per Koi Gilah Na Tha
usay meri Chup Nay Rula Diya
Jisay Guftaguu Mein Kamal Tha

No comments:

Post a Comment