Saturday, 18 October 2014

Muhabbat saat sur main behti waadiyon ka naghma hai

Muhabbat saat sur main behti waadiyon ka naghma hai,
Isi k dhanak rangon se to dil abaad hote hain
Wafaen payas banti hain
Zakhm betaab hote hain
Ye chupke se kisi dil main
Diye se roshan karti hai
K jese tez suraj ki shuaaen safar karti hain !
Muhabbat bekaran jazbon main beh jaane ka lamha hai,
Kisi meethi si saat main
Ye boondon si barasti hai
Kahin seraab karti hai
Kabhi betaab karti hai
Ye behti hi chali jaati hai
Boondon ki guzarish main
K jese bheegte parbat hain barish k tasalsul main !
Muhabbat har kali ki band khushbu se nikalti hai,
Ye har mosam k sang chalti
Hawaon main machalti hai
Ye har dil k nehan khanon main
Shamma ban k jalti hai
Muhabbat har zamane ki rag-e-jan main bhi basti hai
Ye behti wadiyon k saat rangon main damakti hai !

No comments:

Post a Comment