guruub-e-shaam hii se Khud ko yuuN mahasuus kartaa huuN
k jaise ik dee’yaa huuN aur havaa kii zad pe rakhaa huuN

chamakti dhuup tum apane hii daaman meiN na bhar ley’naa
maiN saari raat paiRooN ki tarah baarish meiN bheegaa huuN

koi TuuTaa huaa rishtaa na daaman se ulajh jaa’ey
tumhaare saath pahli baar bazaarooN meiN niklaa huuN

ye kis aavaaz kaa bosaa mere honThooN pe kaa’Npaa hai
maiN pichli shab sadaa’ooN ki halaavat bhuul baiThaa huuN

bichar ke tum se maiN ne bhi koi saathi nahiN dhunDhaa
hujuum-e-rah_guzar meiN duur tak dekho akelaa huuN

No comments:
Post a Comment