Saturday 18 October 2014

Bicharne walay Chalay jo ho to bata k jao

Bicharne walay Chalay jo ho to bata k jao
K kitni shaamein udaas aankhon main kaat-ni hein
K kitni subhain akelay pann mein guzaarni hein
Bata k jao k kitne sooraj..azaab rastoon ko dekhna hai


K kitne mehtaab..sarrd raatoon ki wus-at-ton se nikaalne hein
Bata k jao k chaand raatoon mein waqt kaise guzaarna hai
Khamosh lamhoon mein tujh ko kitna pukaarna hai
Bata k jao k kitne lamhay shumaar karne hein hijr ratoon kay


K kitne mousam aik aik kar k judaiyoon mein guzaarne hein
Bata k jao k panchiyoon ne akele pann ka sabbab jo poocha
Tou kaya kahoon ga?
Bata k jao ..main kis se tera gilla karoon ga


Bicharr kay tujh se habbib..kis se mila karoon ga
Bata k jao k aankh barsi to kon moutii chuna karay ga
Udaas lamhoon mein dil ki dharkan suna karay ga
Bata k jao k mousamoon ko payaam dene hein ya nahee hain


Fallk ko,taroon ko,jugnooon ko salaam dene hein ya nahee hain
Bata k jao k kis pe hai aitebaar karna
To kis ki baatoon pe be-niyazi kay silsale ikhtiyaar karna
Bata k jao k abb ravviyoon ki chaal kiya ho


Jawaab kiya ho,sawaal kiya ho Arooj kiya ho,zawaal kiya ho
Nighah,rukhsaar,zulff,chehra ..nidhaal kiya ho
Bata k jao k meri haalatt pe chaandani khikhila pari tou main kiya karoon ga
Bata k jao k meri soorat pe tairgi muskara parri tou


Main kiya karoon ga
Bata k jao k tum ko kitna pukaarna hai
Bicharr k tujh se ye waqt kaise guzaarna hai
Ujaarna hai? nikhaarna hai?
Chalay jo ho tou bata kay jao
kay loutna bhi hai ya…..????????

No comments:

Post a Comment