Saturday 18 October 2014

maum ki tarah pighalte huay daikha us ko

maum ki tarah pighalte huay daikha us ko
rut jo badli to badaltay huay daikha us ko
wo jo kante ko bhi narmi se chua karta tha
hum ne pholon ko masalte huay daikha us ko
janay kis gham ko chupanay ki tamanna thi usay
aaj har baat pe hanstay huay daikha us ko
janay wo mangnay jata hai duaon main kisay
hath uthatay hi sisakte huay daikha us ko

No comments:

Post a Comment