Saturday 11 October 2014

Mujh ko maloom nahin hijar ke qatil lamhay

Mujh ko maloom nahin hijar ke qatil lamhay
Tu ne kis aag main jal jal k guzaray hon ge
kabhi lafzoon main thakan tu ne samaiti ho gi
kabhi kaghaz pe faqat ashk utaray hon ge
ye bhi mumkin hai ke guzra huwa lamha lamha
jis ko main aaj bhi seenay se laga rakhta hoon
teray nazdeek faqat yaad ki parchai ho
duur ki jaisay teri iss se shanasai ho
jis tarah dhoop december ki dareechay se lagi
be irada kahin angan main utar aai ho
jaisay mehfil main kisi shakhs ki tanhai ho

No comments:

Post a Comment