Saturday 11 October 2014

Sar E Taaq E Jaan Na Charagh Hai Pas E Baam E Shab Na Sehar Koii

Sar E Taaq E Jaan Na Charagh Hai Pas E Baam E Shab Na Sehar Koii
Ajab Eik Arsa E Daraz Hai Na Gumaan Hai Na Khabar Koii
Nahi Ab To Koii Malal Bhi ,, Kisi Wapsi Ka Khyaal Bhi
Gham E Be-Kassi Ney Mitta Diya Meray Dil Mein Tha Bhi Agar Koii
Tujhey Kya Khabar K Raat Bhar Tujhey Dekh Paney Ko Eik Nazar
Raha Sath Chaand Key Muntazir Teri Khirkiyoun Sey Udhar Koii
Sar E Shakh E Jaan Teray Naam Ka Ajab Eik Taza Gulaab Tha
Jisey Aandhiyoun Sey Khatar Na Tha Jisey Tha Khizaan Ka Na Dar Koii
Teri Be-Rukhii Key Diyaar Mein Ghanii Teergii Key Hisaar Mein
Jalay Kis Trah Sey Charagh E Jaan Karay Kis Traf Ko Saffar Koii
Katay Waqt Chahey Azaab Mein Kisi Khwaab Mein Ya Saraab Mein
Jo Nazar Sey Door Nikal Gya Usey Yaad Karta Hai Har Koii
Sar E Bazm Jitney Charagh They Wo Tamam Ramz Shanaas They
Teri Chashm E Khush Key Lehaaz Sey Nahii Bolta Tha Magar Koii

No comments:

Post a Comment