Saturday 11 October 2014

ruko nahiiN ki abhii aasmaan baaqii hai

safar tamaam huaa aour zahaan baaqii hai
ruko nahiiN ki abhii aasmaan baaqii hai
chalo miTaa diye saare nishaan-e-paa toone
bayaaz-e-dil pe ye kaisaa nishaan baaqii hai
karam kare na kare aour sadaa sune na sune
yaqiin khatm huaa ab gumaan baaqii hai
pahaaRh, abr, sitaara, kali, hawaa, Khushboo
hai kaun jiskaa ye tarz-e-bayaan baaqii hai
mire badan meN makiiN hai abhii terii Khushboo
makaaN ke saath abhii laamakaan baaqii hai
suKhan ke TooT chuke uss’se silsile saare
bas ek raNjish-e-lab, darmiyaan baaqii hai
na chhat rahii na chhatnaar, fir bhii kahte ho
falak ka sar pe abhii saaybaan baaqii hai
abhii se jaane lage ho zaraa Thahar jaao
abhii pahaaRh si ye daastaan baaqii hai
takaan naam isii kaifiyat ka hai shaayad
lahoo badan meN nahiiN aour jaan baaqii hai

No comments:

Post a Comment