Friday 17 October 2014

Soochta hoon key bahut saada-o-masoom hai woh

Soochta hoon key bahut saada-o-masoom hai woh
mein abhi us ko shanasa-ye mohabbut na karoon
rooh ko uski aseer-i-gham-i-ulfat na karoon
usko ruswa na karoon ,waqf-i-maseebat na karoon
soochta hoon key abhi ranj sey aazad hai woh
waqif-i-dard nahi,khoogar-i-aahlaam nahi
sehr-i-aaish mein uski asr-i-shaam nahi
zindagi uskey liye zahar bara jam nahi
soochta hoon key mohabbat hai jawani ki khazaan
usney dekha nahi duniya mein baharoon kay siwa
nikhat-o-noor sey labreez nizaroon key sawa
sabza zaroon key sawa aur sitaroon kay sawa
soochta hoonkey gham-i-dil na sinaoon usko
samney kabhi uskey raaz ko uryaan na karoon
khalish-i-dil sey usay dast-o-garay-baan na karoon
uskey jazbaat ko mein shola-badammaan na karoon
soochta hoon key jaladey gi mohabbat usko
woh! mohabbat ki bala taab kahan lai gi
khood to woh aatish-i-jazbaat mein jal jaye gi
aur duniya ko is unjaam pay tarpaye gi
SOOCHTA HOON KEY BAHUTSADAA-O-MASOOM HAI WOH
MEIN USAY WAQIF-I-ULFAT NA KAROON

No comments:

Post a Comment