Friday 17 October 2014

Judai dene wale tum se umeed-e-wafa kaisi

Judai dene wale tum se umeed-e-wafa kaisi
ta’aluq toot jaye jab mohabbat rooth jaye jab


to phir rasm-e-dua kaisi milan ki ilteja kaisi
bhanwar mein dholti kashtii pe saahil ki tamanna kya


ukhartay saans houn to zindagi ki arzoo bhi kya
jo manzil kho chuki ho uss ki phir se justuju bhi kyun


magar dil ne tumhein kis wastay se yaad rakha hai
tumhein kyun shairii mein aaj takk aabaad rakha hai


abhi tak main ne kyun khud ko buhut barbaad rakha hai
hawa k dosh per kyun nagma-e-faryaad rakha hai


judaii dene wale aashnaii ki qasam ko
tumhari bewafai, kaj-adaai ki qasam tum ko


mujhe itna bata dena
wafa ki chahton ki mash’alein kaise bhujate hain


nishaan kaise mitaate hain
bhulana ho jinhein unn ko bhala kaise bhulatay hain

No comments:

Post a Comment