Tuesday, 11 November 2014

Brson ky baad dekha ek shaks dil ruba sa

Brson ky baad dekha ek shaks dil ruba sa
Ab zehen main nahi hy pr nam tha bhla sa

Abro khichy Khichy sy aankhain jhuki jhuki si
Baatain ruki ruki si lehja thaka thaka sa

Khowabon main khowab os ka yadon main yad os ki
Nendon main ghul gaya hon jesy keh ratjga sa

Pehlay bhi log aye kitnay hi zindagi main
Lekin wo hr trah sy ouron sy tha juda sa

Agli mohabaton ny wo na muradiyan deen then
Taza rafakaton sy kuch dil tha dara dara sa

Kuch ye keh muddaton sy hum bhi nahi they roye
Kuch zehar main bujha tha ehbab ka dilasa

Ab sach kahen tu yaron hum ko khbar nahi thi
Ban jay ga kayamat ek wakiya zra sa

Tevar berukhi ky andaz dosti ky
Wo ajnabi tha lekin lgta tha aashna sa

Hum dasht thy keh darya hum zehar they keh amrit
Nahaq tha Za’am hum ko jb wo nahi tha peyasa

No comments:

Post a Comment