Friday, 24 January 2014

Abhi Tak Admi Sayd-E-Zaboon-E-Sheher Yari Hai

Abhi Tak Admi Sayd-E-Zaboon-E-Sheher Yari Hai
Qayamat Hai Ke Insan Nu-E-Insan Ka Shikari Hai


Nazar Ko Kheerah Karti Hai Chamak Tehzeeb-E-Hazir Ki
Ye Sanaee Magar Jhoote Nagon Ki Rezakari Hai


Woh Hikmat Naz Tha Jis Par Khiradmandan-E-Maghrib Ko
Hawas Ke Panja’ay Khoonin Mein Taegh-E-Karzari Hai


Tadabur Ki Fasoon Kari Se Mohkam Ho Nahin Sakta
Jahan Mein Jis Tamaddan Ki Bina Sarmayadari Hai


Amal Se Zindagi Banti Hai Jannat Bhi, Jahanum Bhi
Ye Khaki Apni Fitrat Mein Na Noori Hai Na Naari Hai


Kharosh Amoz-E-Bulbul Ho, Girah Ghunche Ki Wa Kar De  
Ke Tu Iss Gulistan Ke Waste Baad-E-Bahari Hai


Phir Uthi Asia Ke Dil Se Chankari Mohabbat Ki
Zameen Joulan Geh-E-Atlas Qabayan-E-Tatari Hai


Baya Paida Khareedarst Jaan-E-Natoowane Ra
“Pas Az Muddat Gudaz Aftaad Barma Karwame Ra”

No comments:

Post a Comment