Friday, 24 January 2014

Tu Raaz-E-Kun Fakan Hai, Apni Ankhon Par Ayan Ho Ja

Tu Raaz-E-Kun Fakan Hai, Apni Ankhon Par Ayan Ho Ja
Khudi Ka Raazdan Ho Ja, Khuda Ka Tarjuman Ho Ja


Hawas Me Kar Diya Tukre Tukre Nu-E-Insan Ko
Akhuwat Ka Byan Ho Ja, Mohabbat Ki Zuban Ho Ja


Ye Hindi, Who Khurasani, Ye Afghani, Who Toorani
Tu Ae Sharminda-E-Sahil ! Uchal Kar Be-Karan Ho Ja


Ghubar Aludah’ay Rang-O-Nasb Hain Baal-O-Par Tere
Tu Ae Murgh-E-Hara ! Urne Se Pehle Par-Fishan Ho Ja


Khudi Mein Doob Ja Ghafil ! Ye Sir-E-Zindagani Hai
Nikl Kar Halqa-E-Shaam-O-Sahar Se Javidan Ho Ja


Masaf-E-Zindagi Mein Seerat-E-Foulad Paida Kar
Shabistan-E-Mohabbat Mein Harair-O-Parniyan Ho Ja


Guzar Ja Ban Ke Seel-E-Tund Ro Koh-E-Byaban Se
Gulistan Rah Mein Aye To Joo’ay Naghma Khawan Ho Ja


Tere Ilm-O-Mohabbat Ki Nahin Hai Intaha Koi
Nahin Hai Tujh Se Barh Kar Saaz-E-Fitrat Mein Nawa Koi

No comments:

Post a Comment